Search This Blog

Wednesday, June 23, 2010

                                                                       
                                        Arvind King
Us Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hoon







Us Ko Jab Yaad Karta Hoon Bhulana Bhool Jata Hoon






Bohut C Aisi Baatain Hain Jo Mere Dil Mein Rehti Hain






Magar Jab Us Se Milta Hoon Sunana Bhool Jata Hoon






Us Ke Bad Ab Her Pal Bari Mushkil Se Katta Hai






Mein Aksar Us Ko Khawabon Mein Batana Bhool Jata Hoon






Mein Her Sham Kehta Hoon Ke Us Ko Bhool Jaon Ga






Magar Jab Subha Hoti Hai Tu Bholana Bhool Jata Hoon
Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye

Kiyon bewajah itni shidat se hum roye

Badhi der tanhai mein baithe rahe

Shayad rone ka sabab yaad aa jaye.

Sawaal kiya,ae dil bata,bina uski yaad aaye

Aaj kiyon ansoo beh gaye?

Dil ki gehrahiyon se ik awaaz aay

Mian yeh ansoo tere nahin

Tere yaar ke hain,tere pyaar ke hain

Jisse na jaane kiyon aaj tum bahaut,bahaut yaad aaye
Hume Pata Hai Ke Apni Manzil Se Door Hai Hum
Dil Se Nikaalne Mein Use Majboor Hain Hum
Saza Mili Hai Lekin Bekasoor Hain Hum
Aur Thokron Ki Zarurat Nahi Pehle Hi Chaknachoor Hain Hum
Apne Dil Mein Tumhare Pyar Ki Dastaan Likhi Hai
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai
Kabhi Humaare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai
Main Toot Ke Bikhar Gaya Ye Mahaz Itefaaq Tha
Main Bhi Toh Kal Kisi Ki Nargishi Akhon Ka Khawaab Tha
Aaj To Gagan Ke Taare Bhi Meri Haalat Pe Hansaa Karte Hain
Ye Kal Ki Hi Baat Hai Ki Meri Baahon Mein Mehtaab Tha

king

Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
Dil Mein Tufaan Utha Karte The

Log Aate The Gajal Sunne
Hum Uski Baat Kiya Karte The
Sach Samajhte The Uske Vado Ko
Raat Din Ghar Me Raha Karte The

Kisi Viraane Mein Usse Milkar
Phool Khila Karte The
Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir
Hum Naam Unka Likha Karte The

Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The
Zindagi mein kuch bhi haasil na kar paaye

Na jee paaye,aur na hi mar paaye

Har baar dil mein basa hua koi rok leta hai

Na woh humein bhula paaya na hum usse bhula paaye
http://i197.photobucket.com/albums/aa190/mehul_devil/Couple-Holding-Hands-Photographi-2.jpg



Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya,

Lehje Se Uth Raha Tha, Har ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,

Awaz Mein Thihrao Tha, Aankhoon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya,

Jane Kiya Us Ko, Logon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya,

Khud Bhi Woh Hum Se Bichar Kar, Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi itne Logon Mein Tanha Bana Diya,

Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.

king

Sahare teri yaadon ke,sada jeeta raha har pal

Chhupa ke ghum ko ashkon se,zehar pita raha har pal

Chhalak jaye na aankhon se,tera har ashq hai moti

Teri khushion ke sadke mein,zakham sita raha har pal.



Bhekte na kadam mere,sahara mil gaya hota

Meri kashti ko tufan mein,kinara mil gaya hota

Mujhe khwabon khayalon ki,yeh duniya raas na aayi

Sambhal jata agar main bhi,ishara mil gaya hota
Khamosh raaho mein tera saath chahiye,
Tanha hai mera hath,tera haath chahiye,
Mujhko mere muqadar per itna yakeen too hai,
Tujhko bhi mere lafz, meri baat chahiye,
Mein khud apni shairi ko kiya ACHA kehta,
Mujhko teri tareef, teri daad chahiye,

king

Is Zamane Say Na Hum Koi Gila Rakhange
Dil Lagayein Gain To Na
Shart-E-Wafa Rakhange
Na Dikhayange Kabhi Dil Pe Lage Zakhm
Unhe
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhange
wo rootha tu hum bhi chup rahaye
ek baar mana lete tu roz khafa hota

king

woh kehtay thay roonay se nahi badalte naseeb
unn ki iss baat ne umar bhar roonay bhi na diya

king

Na Janay Kyun Dil Main Utter Jatay Hain Woh Loog
Jin Logon Say Kistam Kay Sitaray Nahin Miltay

king

Kuch tabiyat Hi Mili Thi aisi Ke Chain Se jine ki surat na huwi
Jise chaha use apna na sake jo mila us se mohabbat na huwi

king

JanaZa Rok Ker Mera wOh Iz AndaZ Se bOli…
Gali Hum Ne Kaha tHa Tum tO DunYa ChOr Ja Rahe hO…

king

dekhi hai us ki ankh main pehli dafa nami
yon lag raha jaise samander udaas hai

king

Dekhi Jo Meri Nabz to ik Lamha Soch kar
Kaaghaz Liya Aur Ishq ka Beemar likh Diya

king

Apne halaat ka khud ehsaas nahi hai mujhko
Maine auro se suna hai ke pareshaa hu main

king

bechain iss qadar tha sooya na raat bhar
palkoo se likh rah tha tera naam chand par
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya,
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya.
Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di,
Hum Ne Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya.
Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman,
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya.
Kabhi Na Maangen Ge Kisi Se Bheek Mohabbat Ki,
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya.

king

uski yaad ne mujhe phir rula diya,

kaise hai woh zalim jisne ye sila diya.

do shabd likhe naih ate the mujhe ,

aur aaj uski mohhabat ne mujhe shayar bana diya.

king

Logo ko aksar kehte suna hai:

“Zinda rahe toh phir milenge”.

Magar aap se mil ke

aisa dil ne mehsoos kiya hai ki,

“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.
Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujh ko

Kiya saza di hai, mohabat ne khudaya mujh ko

Din ko aaram hai na, raat ko hai chain kabhi

Jane kis khaak se, qudrat ne banaya mujh ko

Dukh to yeh hai ke, zamane main milay ghair sabhi

Jo mila hai, woh mila ban ke, paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha, mere rone ko

Ghar ki deewaron ne, seene se lagaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa, tum se nahi hai koi

Phir charaghon ki tarah, kis ne jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha

Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo, mohabat ne jalaya tha kabhi

Gham ki andhi ne, sar-e-sham bujhaya mujh ko

Kaise bhoolau ga woh, wakt ke lamhe

Yaad aata raha, zulfon ka hi saya mujh ko

king

Dunia Ko DIKHANE Ke Liye Hasta Hu
Gam BHULANE Ke Liye Hasta Hu
Mere Hasne Ki HAQIQAT Kya Smjhe Koi
Apne SAJAN Ko Bhulane Ke Liye Hasta Hu