Search This Blog

Monday, June 13, 2011

SHAYRI


Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe
Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe
Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi
Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe
Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera
Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe
Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe
Duniya ka har nazara nigahon se chheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe

Kyu Hai



Dil pe ek bojh sa kyun hai,
Khush hun toh aankh nam kyun hai,
Jis mod par bhi chahun sambhalna,
Dil aur machalta kyun hai,
Kaisa hai ye chahat ka silsila,
Paakar sab kuch phir ye dil chahta kyun hai,
Aakhir kya chahti hai zindagi mujhse,
Koi baat ki kami nahin to itna gham kyun hai.

tanha Banaya us ne





Ansoun ki tarha nazaron se giraya us ne,
Apni khabar na mili kuch aisay khak me milaya us ne..

Ilzam mujhe pe lagaya magar bewafa khud tha,
Pehle dewana Banaya phir mujhe thukraya us ne..

Us ko maza ata hai mujh ko sataney me,
Mujhe geeli lakri ki tarha jalaya us ne..

Aya na tha us ko wada wafa karna,
Logon ko jhoti wafa ka qisa suanaya us ne..
Tanhaion k dard se khoob waqif tha wo,
Phir b duniya me mujhe tanha Banaya us ne…

king



Sochta Hoon Iin Sagar ki Leharon ko dekh kar..
Kyun yeh kinaron se takrakar laut jaati hain…
Karti hain yeh kinaron se Bewafaai…
Ya phir Sagar se Wafa Nibhati hain….
““““““““““““““““““““““““““““““““`
“““““““““““““““““““““““““““““““““
Aaj Hum Unhe Bewafa Batakar aaye hai,
Unke Khaton ko paani mein Bahakar aaye hai,
Koi nikaal ke padh Na le unhe,
Isliye paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….
“““““““““““““““““““““““““““““““““`
““““““““““““““““““““““““““““““““`
Dil Toh Jalkar Raakh Ho gayaa
Magar In Aankhon Se Roya naa Gayaa
Kuch Gam Judaai ke Aise Mile,
Ke Pholoon ke Bistar pe bhi Soya naa Gayaa.
““““““““““““““““““““““““““““““““““
“““““““““““““““““““““““““““““““““““
Har dil ka ek raaz hota hai
har baat ka ek andaaz hota hai
jab tak na lage bewafai ki thokar
har kisiko apni pasand par naaz hota hai.



Aaj bhi teri yaad me ashq barste hai,
Teri didar ko pal pal tarste hai,
Na jane kyu aaj bhiruk jate hai kadam chalte chalte,
Jab bhi hum teri rahon se gujrte hai.
Tum kya jano kya hoti hai tanhai,
Tute hue patte se pucho kya hoti hai judai,
Uhi bewafai ka iljam na de dost,
Ise waqt se pucho ki kis waqt aap ki yaad na aai.

palko pe aansoon ko sajaya na ja saka




Palkon pe aansoon ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aansoon ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka