Search This Blog

Wednesday, August 29, 2012

shayri









Zinda Tha To Kisi Ne  Na Pucha Haalat-E-Jigar

Ab Mar Gaye Hain To Milli Main Dabanay Aagaye

Chor K Duniya Ko Madhosh Huye Thy Hum


Woh Na Janay Kya Soch Kar Humko Jaganay Aagaya


Na Janay Kis Se Pucha Hai Wafa Ne Pata Mera

MeRi Qabar Pe Bhi Humko Jaganay Aagaye


Hum To Andhere Main Sonay K Aadi They

Or Woh Bewafa Meri Qabar Per Diye Jalanay Aagaye


Zinda Tha To Ek Nazar Na Dekha Pyar Se Faraz!

Mar Gaye Hain To Ab Qabar Pe Aansu Bahanay Aagaye






SHAYRI








Apni Aaghosh Mai Kisi Roaz Chupa Lo Mujh Ko

Ghum-E-Dunia Sey Meri Jaan Bacha Lo Mujh Ko

Un Ko Dey Di Hai Ishaaron Mai Ijaazat Main Ney

Mangney Sey Na Milon To Chura Lo Mujh Ko

Apney Saayey Sey B Ab To Mujhey Dar Lagta Hai

Ho Jo Mumkin To Nigaahon Mein Chupa Lo Mujh Ko

Dil Mein Naaqaam Tamannaon Ka Tufan Sahi

Meri Uljhan Meri Wehshat Sey Nikalo Mujh Ko

Un Ko Likhna Hai Kisi Roaz Yeh Khat Mein Jana

Hum To Kisi K B Nahi Apna Bana Lo Mujh Ko


Thursday, August 16, 2012

shayri




Toote hue dilo ki dua mere sath hai
duniya teri taraf h khuda mere sath hai

aawaj ghunghrooOn ki nahi h to kya hua
sagar k tootne ki sadaa mere sath hai

tanhai kisko kehte h mujko pata nahi
kya jaane kis hasin ki duaa mere sath hai

paimana samne h to kuch gham nhi nizaam
ab dard-e-dil ki koi dava mere sath hai

duniya teri taraf h khuda mere sath hai
toote hue dilo ki duaa mere sath hai