Search This Blog

Tuesday, July 13, 2010

fir kyu mita dya usne



Khud ko muj sey juda kia uss ney



Jo na kerna tha wo bhi kia uss ney



Yaad kerney sey bhi yaad na aoon



Aisey muj ko bhola dia uss ney



Tum tu bas waqt ki zaroorat ho



Muj ko akhir bata dia uss ney



Khud sey nazrein mila nahi sakta



Itna neechey gira dia uss ney



Apney hathon sey khud hi likh ker mujey



Janey phir kyon mita dia uss ney

Monday, July 12, 2010

yaad karne k baad





Koi Bhoola sakta nahi kisi ko Bhool jane ke baad
Koi Saamne aa jaye kisi ko Yaad karne ke baad

Kyun chorr diya Hamara sath, kya Hum ne Khata ki
Khuda bhi Maaf ker deta hai Gunaah hone ke baad

Kyun aate ho Hamein Yaad, kyun Tarpate ho Mujhe
Aadmi Khush hota nahi her Ek Khushi milne ke baad

Mohabbat ke Safar mai kitne Door chale gaye hain jab Hum
Kyun wapis pukarte ho Manzil ke qareeb aane ke baad

Aansoo hai kamzor Sahara Mere Jeewan ka
Kyun aate ho pouchne, Aankhein sukh jane ke baad

Na mana karo Hamein Pyaar karne se Tujh ko
Kyun log Bagawat karte hain Pyaar kerne ke baad???

Karle Deedar apne Mehboob ka Ji bhar ker
Koi aata nahi milne Qabar mai jane ke baad

Koi kisi ka Haal-e-Dil jaan nahi sakta
Murda Jism hi janta hai Qabar mai jane ke baad!

Izzat, Zillat, Gunah, Sawaab kya hai koi bata de?
Na aana chahta koi Dunya mai Qayamat dekhne ke baad

Koi Bhoola sakta nahi kisi ko Bhool jane ke baad
Koi Saamne aa jaye kisi ko Yaad karne ke baad

tera jaisa nhi huwa




Kahan koi aisa mila jispar duniya luta dete
Har ek ne dhokha diya kis kisko bhula dete
Apne dil ka dard dil main hi daba kar rakha hai
Agar karte bayan to mehfil ko rulaa dete
Janaza mera uth raha tha
Phir bhi takleef thi unko aane mein
Bewafa ghar mein baithe puch rahe the
aur kitni der hai lejane mein
dil ko kisi aahat ki aas rehti hai
nigaah ko kisi surat ki pyas rehti hai
tere bina kisi cheez ki kami to nahi
magar tere bina zindagi udaas rehti hai
bhool janae ka honsla na huwa
dhoor rehkar bhi tu judaah na huwa
tujse milkae kisi se kya miltae hum
koi tera jaisa doosra na huwa

ab to aana hoga


Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiay Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaoungi
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

nahi dekha

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti k Musafir Ne Samander Nahi Dekha

Be Waqt Agar Jaon Ga Sab Chonk Parein Ge
Ik Umer Hoyi Din Mein Kabhi Ghar Nahi Dekha

Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Pe Nazar Hay
Aankhon Ne Kabhi Meel Ka Pathar Nahi Dekha

Yeh Phool Mujhay Koi Virasat Mein Milay Hain
Tum Ne Mera Kaanton Bhara Bistar Nahi Dekha

Phathar,Mujhay Kehta Hay Mera Chahnay Wala
Main Mom Hoon Uss Ne Mujhay Chho Kar Nahi Dekha..

king


Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehle,
Meri sun lo apni sunaane se pehle,
Ye soch lena bhulane se pehle,
Bahut royi hain ye aankhein muskurane se pehle

sab kuch uska tha

manzilain bhi uss ke thin
rasta bhi uss ka tha
ik main akela tha
kafila bhi uss ka tha
sath sath chalnay ki soch bhi uss ki thi
phir rasta badalnay ka faisla bhi uss ka tha
ajj kyun akela hoon dil sawal karta hai
log tu uss k thay kia khuda bhi uss ka ta.

jab tum



Chehre pe khushi chah jati hai
ankhon mein suroor aajata hai
Jab tum MuJhe apna kehte Ho
apne app pe guroor Aajata hai
Tum husn ki khud ek dunya Ho,
shayad yeh tumhain maloom nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe NooR Aajata Hai
Hum pass se tum ko kiya dekhen
JaB TuM MukaBiL HotE HO
BetaaB NigHaooN Ke AaGe ,
Parda sa Zaroor Aajata Hai
Jab Tumse MohabbaT ki Humne
Tab jake kahin yeh raaz khula
Marne ka Saliqa Aatein Hi
Jeene ka Shaur Aajata hai ..

kya karoo

.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨)

Dil se ap ka khayal na jaaye to kya karoon...
Ap hi bataoo Ap ki yaad jo aaye to kya karoon...
Hasrat yeh hai ki ek nazar dekh loon Ap ko...
Kismat agar woh lamha na laaye to kya karo...

.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨)¸.•*´¨
.`·.¸(¨`·.·´¨) . * .*..*...*
*......`·.¸.·´* (¨`·.·´¨)

Wednesday, July 7, 2010

king





Na Tujhe Choor Sakte Hain Tere Ho Bhi Nhi Sakte.

Yeh Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Roo Bhi Nhi Sakte.

Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hame Tarpaye Rakhta Hai.

Tumhari Yaad Aati Hai To Phir Sou Bhi Nhi Sakte.

Chupa Sakte Hain Na Dekha Sakte Hain Logon Ko.

Kuch Aise Dagh Hain Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nhi Sakte.

Kaha To Thay Choor Dein Ge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Hain.

Tumhein Pa To Nhi Sakte Magar Kho Bhi Nhi Sakte.

Hamara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To.

Jeaein Kaise K Tum Se Door Reh Bhi Nhi Sakte

ki





Dua nahi to gila deta koi

meri wafaon ka sila deta koi



jab mukadar hi nahi tha apna

deta bhi to bahla kya deta koi



hasil-e-ishq faqat dard hai

aye kash pehle hi baat deta koi



taqdeer nahi thi agar aasmaan chuna

khaq me hi mila deta koi



bewafa bhi humein bewafa keh gaya

is se zyada kya daga deta koi



guman hi ho jata kisi apne ka

daman hi pakar kar hila deta koi



arse se atka hai hinchkiyoun pe dun

acha hota ke bhula deta koi

awo hai hum

Hatheli Saamne Rakhna,



Ke Sab Aansoo Gire Usme...


Jo Ruk Jaayega Honthon Par,


Samajh Jaana Ke "WO HAIN HUM".






Jo Chal Jaaye Hawa Thandi,


To Aankhen Band Kar Lena...


Jo Jhonkaa Tez Ho Sabse,


Samajh Jaana Ke "WO HAIN HUM".






Jo zyaada Yaad Aaun Main,


To Ro Lena Jee Bhar Ke...


Agar Hichki Koi Aaye,


Samajh Jaana Ke "WO HAIN HUM".






Agar Tum Bhoolna Chaaho,


Mujhe Shaayad Bhulaa Do Tum...


Magar Jab Saans Lena Tum


Samajh Jaana Ke "WO HAIN HUM

din raat jala karte hai...

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon



Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye






Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai


Main Tanha Gunahgar To Nahi






Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai


Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai






Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali


Qadam mila ke jo hamare saath aap chali






Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,


Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai






Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag


Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi






Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay


Magar kya karain apni rahain juda hain






Saamne baithe raho dil ko qaraar aa’aegaa


Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa’aegaa






Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai


Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai






Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshi


Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye ho






Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao


Itna ruk ruk ke chalogi to qayamat hogi






Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Bujh jaya Karte Hai


Aur ek hum hain jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai

king

dil o nazar ko ghamon se nidhaal rakhte hain



ye aap hamara khoob khyaal rakhte hain


ye or bat hai kabhi poochte nahi un se


hum apne dil mein hazaron sawal rakhte hain


hame malal nahi bewafa zamane ka


tery wafaon ka lekin malal rakhte hain


hamein azeez hain jese bhi hain hareef apne


woh hosla tu hamara bahal rakhte hain


shoq un ko nahi rasm e dunya ka


fareb dene mein lekin kamal rakhte hain.....
Karon to kis leye aakhir mallal us ka

Usey nahi tu mujhe bhi nahi khayal us ka



Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko

Kisi ada per bhi nahi hai kamal us ka



Mere naseeb ki yeh bhi tu khushnaseebi hai

Kay mujh ko dekh kay sub poochte hain hal us ka



Yahi dua main karoon har bars kay pehle din

Mere bagheer na guzre koi bhi lumha us ka



Mere urooj ko us kay naseeb main likh dey

Khuda-e-pak mujhe sounp de zaval us ka

muje chor gaya hai

Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak



Jaate hue rota woh mujhe chhorr gaya hai






Armaano ki Duniya ke anmol se sapne


pal main woh mere saamne sab tor gaya hai






Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi


Besabab Duniya se meri rukh mor gaya hai






Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah


Saare ghamon se rishta mera jod gaya hai






Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche


Yahan kis ke sahare pe mujhe chhorr gaya hai

Tuesday, July 6, 2010

Koi Saath Naa De Meraa,Chalna Mujhe Ataa Hai.
Har Aag Se Wakif Hoon,Jalnaa Mujhe Ataa Hai.

mujh mai kya hai

Dekho Zamane Ke Rang Main Kya Hai
Bhulaa Do Mujhe, Mujh Mein Kya Hai
Ujaalaa Chaandani Raaton Ka Dekho
Siwaye Andheron Ke Mujh Main Kya
Hai Nahin Mil Sakti Jinhe Kabhi Haqeeqat
Asie Mere Khvaabon Mein Kya Hai
Arman Fana Nazar Viran,
Dil Jala Hai Kureda Ho Mujhe,
Ab Rakha Mujh Main Kya Hai
Khushi Ke Liye Sab Kuch Bhula Deta Hai
Yadon Ka Kafan Pahne Main Kya Hai
Tumhaari Mehfil Main Chand Sitare Hai
Es Nakaam Shayaraa Main Kya Hai

unko dikhaya na ja saka

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla unka mitaya na jaa saka

bhula na paaoge

Gham na kar tere liye chiragh ban jaaonga,
Khud jal kar teri raah mein roshni kar jaaonga.
Dar hai ke mujh se ruswaayan na milein tumein,
Tarq-e-taaluq,main khud se hi kar jaaonga.
Tere aanchal mein hon phool,hai khaaish meri,
Apna daaman main kaanton se bhar jaaonga.
Laakh bhoulaane se bhi na bhoul sako ge tum,
Main pyaar hi tum se itna kar jaaonga.

kahi se aa jao



Ajub shaam keh rhi hai kahin se aa jao
Badi udaas ghadi hai kahin se aa jao
Kisi se milna aur mil kar bicchar jana
Saza yeh itni badi hai kahin se aa jao
Bada kathin hai yeh hijar ka mausam
Judai bol padi hai kahin se aa jao 
Zamana jise samjhta hai motiyon ki chamak
Woh aansuon ki ladi hai kahin se aa jao

jab se tum gaye ho

Veeraan hai mehfil meri jab se tum gaye ho
Bujh gayi hai saari roshni jab se tum gaye ho
Andheron ke saaye mein hai rooh meri
Roshni ne chhora daaman jab se tum gaye ho.
 
Dil ki duniya khali hai tab se,jab se tum gaye ho
Sab aane se darte hain yahan,jab se tum gaye ho
Sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon
Kissi ne na poonche aansoo jab se tum gaye ho.
 
Khamosh ho chuki hai zubaan jab se tum gaye ho
Meri aankhon mein toote hue sapne kuch de gaye ho
Unhi sapno mein ab zindagi ki guzzar karta hoon
Us khawab ko toda nahin jab se tum gaye ho.
 
Dour jab tum mujh se ho to yeh khyal aata hai
Kya meri tarah tum bhi aahein bhar rahe ho
Phir jab aati hain mujhe hichkiyan
Yeh sochta hoon keh tum mujhe yaad kar rahe ho.
 
Zinda hoon main yahan to teri hi khatir
Ke maut bhi aati nahin hai jab se tum gaye ho
Akelapan hai bas ab mere saath
Khushiyan to tum se thien,tum unko le gaye ho

Kaash khawabon mein hi aa jao bahaut tanha hoon
Ya mere zehan se yaadon ke diye gul kar do
Mere ehsaas ki duniya ko mitta do ham dam
Raat taare nahin angaare liye aati hai
In baraste hue sholon ko bujhaa do ham dam
Dil ki dharkan ko sula jaao bahaut tanha hoon
Andheri raat mein jab chaand khilne lagte hain
Tumhaare pyaar ke deepak jalaa ke rota hoon
Tumhaare aane ki jab aas jaane lagti hai
Main in chiraaghon ko khud hi bujha ke rota hoon
Zindagi aisi mitta jaao bahaut tanha hoon
Sochte sochte jab soch bhi mar jaati hai
Waqt ke qadmon ki aahat ko suna karta hoon
Ashk thamte hain to aahon ka dhuwan uthta hai
Raat bhar younhi tarapta hoon, jala karta hoon
Baar- e- gham kuch to ghatta jaao bahaut tanha hoon
Khamosh raaho mein tera saath chahiye,
Tanha hai mera hath,tera haath chahiye,
Mujhko mere muqadar per itna yakeen too hai,
Tujhko bhi mere lafz, meri baat chahiye,
Mein khud apni shairi ko kiya ACHA kehta,
Mujhko teri tareef, teri daad chahiye,

Maine pucha kaise ho

Mein ne Poocha kesey ho
Badley Ho ya wesey ho

Roop wohi, Andaaz wohi
ya phir is mein koi kami

Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumharey pass to hoga

mein Bichra ye majboori thi
kab manzoor mujhey Doori thi

saath Humara kab choota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai

Aankh se jo aansu Behtey hain
Tum ko khabar hai kia kehtey hain

mein ne kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari

Phool wafa k khil jaain ge
aik Din Phir Ham mil jaain ge